Friday, August 14, 2009

Uljhav ka maza bhi teri baat hi mein tha-Aziz Qaisi



uljhav ka maza bhi teri baat hi mein tha
tera javab tere savalat hi mein tha
saya kisi yaqin ka bhi jis par na pad saka
wo ghar bhi shahar-e-dil ke muzafat hi mein tha
ilzam kya hai ye bhi na jana tamam umr
mulzim tamam umr havalat hi mein tha
ab to faqat badan ke muravvat hai daramiyan
tha rabt jan-o-dil ka to shuruat hi mein tha
mujh ko to qatl kar ke manata raha hai jashn
wo zilihaz shakhs meri zat hi mein tha


Poet of  the Poems / Ghazal or Nazam :Aziz Qaisi



No comments:

Post a Comment