Tuesday, June 5, 2007

Mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho – Kaif Akrami



mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke khafa na ho
use zindagi ka bhi haq nahi jise dard-e-ishq mila na ho
ye inayaten ye navazishen mere dard-e-dil ke dawa nahi
mujhe us nazar ke talash hai jo ada shanas-e-vafa na ho
tujhe kya bataun main bekhabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar
ye hai wo latif si kaifiyat jo zuban tak aaye ada na ho
ye sharab rez-e-hasin ghata jo hai “kaif” nazish-e-mayakada
kisi tashna-kam ke aarzoo kisi tashna-lab ke dua na ho


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Kaif Akrami



No comments:

Post a Comment