Monday, June 4, 2007

Main Aur Meri Tanhayee



Main Hun Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Pahle Saaya Tha Mera Mere Saath
Aaj Kal Wo Bhi Harjaai Hai
Jaane Kyon, Kaise Aaj Phir Se Meri
Mujhko Maazi Satane Aai Hai
Dard-e-Tanhai Se
Jab Choor Hua Jaata Hoon
Saari Duniya Se
Bahut Door Hua Jaata Hoon
Phir Bhi Jeene Ko
Jo Majboor Hua Jaata Hoon
Aisi Haalat Me
Pareshan Dil Ko Bahlane
Purane Zakhmon Ko
Aansuon Me Nehlane
Shab Ki Tanhai Me
Main Chhat Pe Chala Aata Hoon
Apni Khamosh Shikayat Ko
Sunaane Ke Liye
Chaand Ko Apna Haal-e-Dil
Bataane Ke Liye
Apni Aankhon Ka Luhoo Usko
Dikhane Ke Liye
Saath Apne Use
Kutch Deir Rulaane Ke Liye
Chaand Ko Bhi
Meri Haalat Se Pareshani Hai
Uski Bhi Apni
Mohabbat Ki Ek Kahani Hai
Chot Meri Tarah Wo Khaya Hai
Daagh Seene Me Jab Hi Paaya Hai
Bhool Jaayen Chalo Muhabbat Mein
Dard Kisko Hai Kisko Tanhai
Waqt Ab Hai Teri Judaai Ka
Aansuon Mein Teri Widayee Ka
Chun Ke Aankhon Se Mere Ashkon Ko
Thapkiyan De Ke Meri Palkon Ko
Meri Kismet Per Ro Ke Jaata Hai
Jaate Jaate Wo Apne Askhon Se
Saari Dharti Bhigo Ke Jaata Hai
Ek Subah Phir Nayee Si Aati Hai
Thodi Ummeed Saath Laati Hai
Shaam Hote Hi Saath “ASIF” Ke
Aa Gai Phir Wohi Dilnasheen Tanhai Hai
Main Hun Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai
Sirf Meri Tanhai Hai
Sirf Meri Tanhai Hai…………



No comments:

Post a Comment