Thursday, June 7, 2007

Khushiyan hamari sar-e-dar tak gain – Mumtaz Mirza



Khushiyan hamari sar-e-dar tak gain
rusvaiyan bhi kucha-o-bazar tak gain
tanhaiyon ne fasale sare mita diye
parchaiyan meri teri divar tak gayin
wo ehataram-e-gam tha ke lab tak na hil sake
nazaren uthin to sar-e-hadd-e-guftar tak gayin
tum ne jalaya mera nasheman to gham nahi
chingariyan udin gul-o-gulazar tak gayin
garqab hone valon ko kuch to mili madad
sahil se kuch sadayen majhadhar tak gayin


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Mumtaz Mirza



No comments:

Post a Comment