Khoon mein lat-pat ho gaye saye bhi ashjar ke
kitne gehare var the khushbu ke talvar ke
ik lambi chup ke siva basti mein kya reh gaya
kab se hum par band hain daravaze izhar ke
aao uttho kuch karen sahara ke janib chalen
baithe baithe thak gaye saye mein dildar ke
raste sune ho gaye divane ghar ko gaye
zalim lambi raat ke tariki se har ke
bilkul banjar ho gai dharati dil ke dasht ke
rukhsat kab ke ho gaye mausam sare pyar ke
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahryar
No comments:
Post a Comment