Kahaa Thaa Kis Ne Ke Ahad-E-Vafaa Karo Us Se
Jo YuuN Kiyaa Hai To Phir KyuuN Gilaa Karo Us Se
Ye Ahl-E-Baz Tunak Hausalaa Sahii Phir Bhii
Zaraa Fasaanaa-E-Dil Ibtidaa Karo Us Se
Ye Kyaa Ke Tum Hii Gam-E-Hijr Ke Fasaane Kaho
Kabhii To Us Ke Bahaane Sunaa Karo Us Se
Nasiib Phir Ko_Ii Taqriib-E-Qarb Ho Ke Na Ho
Jo Dil MeN HoN Vahii BaateN Kiyaa Karo Us Se
‘Faraz’ Tark-E-Ta’alluq To Khair Kyaa Hogaa
Yahii Bahut Hai Ke Kam Kam Milaa Karo Us Se
No comments:
Post a Comment