Saturday, June 9, 2007

Huzur aap ka bhi ehataram karta chalun – Shadab Lahori



huzur aap ka bhi ehataram karta chalun
idhar se guzra tha socha salam karta chalun
nigah-e-dil ke aakhiri yahi tamanna hai
tumhari zulfon ke saye mein sham karta chalun
unhen ye zid ki mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera ye shauq ki sab se salam karta chalun
ye mere khwabon ke duniya nahin, sahi lekin
ab aa gaya hun to do din kayam karta chalun
tumhare husn se jage tamam hangamen
main do hi lafzon mein qissa tamam karta chalun
mere kalam ke “shadab” sadagi achi
avam sun ke maze lain main naam karta chalun




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shadab Lahori



No comments:

Post a Comment