Thursday, June 7, 2007

Hain Aik Baarish K Roop Kitne



Hain Aik Baarish K Roop Kitne
Wohi Hai Badil , Wohi Ghata Hai
Ye Raaz Kya Hai
Tamaam Qatre Zameen Per Aik Saath Aa Ker Girte Hain
Phir Bhi Sab Aik Se Nahin Hain
Ke Jaise Naghma , Bohat Se Saazon Se Mil K Banta Hai
Aur Phir Bhi
Tamaam Saazon Ka Apna Apna Alag Tashakhuss Hai
Jaise Pairon K Sabz Pattay
K Sabz Ho K Bhi Apni Rangat K Aik Aik Hisse Main
Saare Patton Se Mukhtalif Hain
Kabhi Jo Barish Ki Rutt Mein Main Aankhon Ko Band Ker K
Main Sirf Uss Ki Nirali Sadyen Sunta
Aur Un Main Bante Tarha Tarha K Suron Ko Chunta Hoon



No comments:

Post a Comment