Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua
Main Na Acha Hua, Bura Na Hua
Jama Karte Ho Kyon Raqibon Ko
Ik Tamasha Hua Gila Na Hua
Ham Kahan Qismat Azmane Jayen
Tu Hi Jab Khanjar Azma Na Hua
Kitne Shirin Hain Tere Lab K Raqib
Galiyan Khak Bemaza Na Hua
Hai Khabar Garm Un K Ane Ki
Aj Hi Ghar Mein Boriya Na Hua
Kya Wo Namard Ki Khudai Thi
Bandagi Mein Mera Bhala Na Hua
Jan Di, Di Hui Usi Ki Thi
Haq To Yun Hai K Haq Ada Na Hua
Zakhm Gar Dab Gaya Lahu Na Thama
Kam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua
Rahzani Hai K Dilsitanee Hai
Lek Dil, Dilsitan Rawa Na Hua
Kuch To Parhiye K Log Kahte Hain
Aj ‘Ghalib’ Gazalsara Na Hua
By Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment