Darya Ki Hawa Taiz Thi Kashti Thi Purani
Roka To Bohat Dil Nay Magar Aik Na Maani
Main Bheegti Aankhon Say Usay Kaisay Bataun
Mushkil Hay Bohat Abr Main Deewar Girani
Nikla Tha Tujhay Dhoondnay Ik Hijr Ka Taara
Phir Us Kay Taaqub Main Gayi Saari Jawani
Kehnay Ko Nayi Baat Koi Ho To Sunaain
So Bar Zamanay Nay Suni Hay Yeh Kahani
Yeh Pul Hay Yahan Phool Kahan Pichlay Baras Kay
Hay Din To Wohi Dost, Magar Aor Hay Pani
Kis Tarah Hota Mujhay Guman Tark-e-Wafa Ka
Aawaz Main Thehrao Tha Lehjay Main Rawani
Ab Main Usay Qatil Kahoon AMJAD, Keh Maseeha
Kia Zakhm-E-Hunar Chhorh Gaya Apni Nishani
No comments:
Post a Comment