Poocha Mein Ney Hawaoon Sey Pata Tera
Poocha Mein Ney Dariyaoon Sey Pata Tera
Poocha Mein Ney Khizaoon Sey Pata Tera
Poocha Mein Ney Fitraat Key Jalwoon Sey Pata Tera
Har Kisi Ney Kia Muj Koo Khamoosh Yahaan
Mein Har Ekk Raaz Sey Hoo Naa Chahta Tha Aashna
Har Raaz Ney Kia Muj Koo Khud Sey Aashna
Mein Apni Hasti Ko Paaney Niklaa
Toh Har Maqaam Pey Paya Tujhe
Tuh Hee Hey Maqsaad Mera
Tuh Hee Hey Hasti Mere
Tuh Hee Hey “Ishq” Mera
Tuh Hee Hey “Namaz” Mere
Mein, Mein Sey Nikal Kar Tuj Mein Koo Gaya
Too Muj Mein Har Lamhaa Jalwaa Gaar Hoo Gaya
Mein Inkaar Bhi Karoon Tera Toh Kaisey Karoon
Merey Dil Koo Tuney Ekk Aina Bana Diya
Mashreq O Magrib Mein Hey Tera Hee Charcha
Tera Hee Jalwaa Hey Chaar(4) Soo
Waqt Kee Qaid Sey Kardey Azaad Mujhe
Muj Koo Merey Nafs Kee Ghulaami Sey Azaad Kar
Mere Khawahishoon Koo Bhi Apni Ghulami Mein Ley Aa
Merey “Ishq” Koo Bhi Saa-Raa-Paa Noor Kar Dey
Muj Koo Bhi Dey Dey Woh “Masti” E Kirdaar
Muj Koo Bhi Dey Dey Woh “Anbiyaa” Kaa Inqalaab
Phir Sey Wohi “Islam” Lota Dey Humey
Joo Har Ekk Key Dil Pey “Moohar” Apni Laga Dey
“Magrib” Kaa Jadoo Hey Chaar(4) Soo
Phir Kaha Sey Aye Awaz La Ilah Ha Illaa Hoo
Ajj Kaa Insaan Mangaay Hey Azaadi
Mgar Apney Nafs Kee Gulami Sey Kaisey Paaee Ga Azaadi
Har Azaadi Deetee Hey Ekk “Nai” (New) Ghulaami
Kahin Taabiaa(Follower) E Shariat Kahin Taabiaa E Tariqaat
Har “Nafs” Hoo Agar Tere “Itibaah”(Follow) Mein
Toh Har Lamhay Hoo Phir Woh “Mohabaat” Kee Rah Mein
Kitney Hee “Iqbal(Rahi Ma Hulla)” Banay Hain Tuney
Kitney Hee Aashiq Banay Hain Tuney
Humarey Diloon Koo Phir Wohi Khaloos Dey
Deekhain Terey Jalwoon Koo Hum Phir Usee Saroor Sey
Terey Ishq Ney Mitaayee Hey Hasti Kitnoo Kee
Humari Bhi Haasti Koo Phir Woh Hee Masti Dey
Gunahooon Kee Na Koi “Taufeeq” Dey
Jaanaat Kee Bhi Naa Koi Umeed Dey
Mera “Kaabah” “Qiblaa” Toh Hee Hey Bass
Abb Koi Buuth(Statue) Key Agey Naa Jukney Kee Taufeeq Dey
Muj Koo Kehtee Hey Duniyaa “Deewana”
Deewangi Koo Mere Phir Woh “Qalandri” Dey
Har Ekk “Chahat” Koo Mitaa Key Mere
Apni “Chahat” Kee Bass Hifazaat Dey
Joo Samaj Mein Naa Aye “Aqal” Mein Mere
Aise Uljaan Na Kabhi Muj Koo Dey
Mere Khalwaat (Lonliness),Mere Jalwaat (Socialness) Kee Rahoo Mein
Muj Koo Phir Wohi ’Mustafaai (S.A.W) Dey
Aqal Key Pardoon Koo Hata Kar
Phir Woh Tajaali Ae Mooswi(A.S) Dey
Har Ekk Zareey Mein Terey Hain Jalwey
Muj Koo Phir Woh Khud Aashnaaee Dey
Mere “Namazoon” Ko Bhi Woh Hee “Khashiaat”(Humbleness) Dey
Meeraaj Key Jalwey Joo Dekha Dey Mujhe
Naa Koi Ghaam , Naa Koi Khushi Hey Wahaan
Jaahan Bhi Tera “Ishq” Salaamat Rahey
Taaraaqi Toh Boohaat Kee Hey Insaanoo Ney
Mgar Khud Ashnaai (Self Awareness) Sey Hey Mahroomi Yahaan
Moot(Death) Kee Pakr(Range) Mein Hey Sara Zamana
Muslmaan Hey Azaad Har Dam Iss Sey Yahaan
Mera Waqt Hey Mera “Khuda”
Mera Ishq Hey Ibaadat Mere
Laa Ilah Key Mafhoom(Meaning) Mein
Mujoood Hey Saaree Baqaa (Eternity) Yahaan
Ishq Ney Muj Koo Sikaaee Hey
Kun Fa Yaa Quoon(To Be & It Is) Kee Haqiqat Yahaan
Khuda Ney Muj Koo Bataya Hey Yeh
Moohaabat Hee Hey “Tera” Khuda
Kaisee Hey “Munfaaqaat” (Hypocrisy) Zamaney Mein
Zubaan Pey Kalimaah Dil Mein Hey Inqaar
Aisa Ilm Naa Ataa Kar Mujhee
Jis Mein Naa Hoo Jidat-E Kirdaar Yahaan
Dollar Kee Mohaabaat Hey Unn Kaa Khuda
Jin Key Diloon Mein Hey Shaak(Doubts) Kee Barmaar(Excessiveness) Yahaan
Muslmaan Kaa Koi Bhi Dees Nahi
Hoo Jahan Ummat Kaa Itihaad Wohi “Kaabaah” Hey Unn Kaa Yahaan
Na Koi Arab, Na Koi Ajam, Na Europe Kaa Hoon
Na Koi Sufi , Na Koi Mulaa, Na Koi Talibaan Yahaan
Muslmaan Kaa Hey Naa Koi Label Yaahaan
Kufr Waloon Key Hain Fatway Yahaan
Ae Khuda Phir Sey Islaam Kaa Woh Noor Lotaa Dey
Jis Mein Huwey Hain Mossa(A.H), Essa(A.H), Mohamaad (S.A.W) Yahaan
No comments:
Post a Comment