us kon hasil kyon ke hoye jag mein farag-e-zindagi
gardash-e-iflak hai jis kon ayag-e-zindagi
ae azizan sair-e-gulshan hai gul-e-dag-e-alam
sohabat-e-ahabab hai mani mein bag-e-zindagi
lab hain tere filhaqiqat chashma-e-ab-e-hayat
khizr-e-khat ne us son paya hai surag-e-zindagi
jab son dekha nain nazarbhar kakul-e-mushkin-e-yar
tab son jion sambhale pareshan hai dimag-e-zindagi
aasman meri nazar mein kuba-e-tarik hai
gar na dekhun tujhakon ae chashm-o-chirag-e-zindagi
lala-e-khunin kaffin ke hal son zahir hua
bastagi hai khal son khuban ke dag-e-zindagi
kyon na hove ae “wali” roshan shab-e-qadar-e-hayat
hai nigah-e-garam-e-gul ruan chirag-e-zindagi
Poet of the Poems / Ghazal or Nazam Wali Mohammed Wali
No comments:
Post a Comment