Khuda wo waqt na laye ki sogawar ho tu
sukun ke neend tujhe bhi haram ho jaye
teri masarrat-e-paiham tamam ho jaye
teri hayat tujhe talkh jam ho jaye
gamon se aaina-e-dil gudaz ho tera
hujum-e-yas se betab hoke reh jaye
wafur-e-dard se simab ho ke reh jaye
tera shabab faqat khwab ho ke reh jaye
gurur-e-husn sarapa niyaz ho tera
tawil raton mein tu bhi qarar ko tarase
teri nigah kisi gamgusar ko tarase
khizanrasida tamanna bahar ko tarase
koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare
fareb-e-wada-e-farda pe aetamad kare
khuda wo waqt na laye ki tujh ko yaad aaye
wo dil ki tere liye be-qarar ab bhi hai
wo aankh jis ko tera intazar ab bhi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment