hijr ke shab nala-e-dil wo sada dene lage
sunane wale raat katane ke dua dene lage
kis nazar se aap ne dekha dil-e-majaruh ko
zakhm jo kuch bhar chale the phir hawa dene lage
juz zamin-e-ku-e-janan kuch nahi pesh-e-nigah
jis ka daravaza nazar aaya sada dene laga
bagban ne aag di jab ashiyane ko mere
jin pe takiya tha wohi patte hawa dene lage
mutthiyon mein khak lekar dost aaye vaqt-e-dafn
zindagi bhar ke muhabbat ka sila dene lage
aaina ho jaye mera ishq un ke husn ka
kya maza ho dard agar khud hi dawa dene lage
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saqib Lucknawi
No comments:
Post a Comment