Zindagi tujh se mil kar zamana hua
aa tujhe aj hum maikade le chalen
raat ke naam honton ke sagar likhen
apni aankhon mein kuch rat-jage le chalen
kya hassin log hain
aankh aahon ke hain aur lab pankhadi
in ke aaraish-e-khal-o-khat ke liye
apni aankhon ke hum aaine le chalen
ajanabi chehare mein dost banate nahi
rishte-naton ke chandi barasti nahi
qurbaten sohabaten jin ke yaad aayengi
aise kuch doston ke pate le chalen
un ke aankhon ne jalate sulagte hue
manzaron ke siva kuch bhi dekha nahi
chehara-e-afsos ke sakinon ke liye
phul-o-khushbu saba zam-zamen le chalen
zindagi tujh se mil kar zamana hua
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Zubair Rizvi
No comments:
Post a Comment