Friday, August 10, 2012

Shole hi sahi aag lagane ke liye aa – Hasrat Jaipuri



Shole hi sahi aag lagane ke liye aa
phir tur ke manzar ko dikhane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri taqadir bana de
aa apne hi hathon se mitane ke liye aa
ae dost mujhe gardish-e-halat ne ghera
tu zulf ke kamali mein chupane ke liye aa
divar hai duniya ise rahon se hata de
har rasm muhabbat ke mitane ke liye aa
matalab teri aamad se hai daraman se nahi
“hasrat” ke qasam dil hi dukhane ke liye aa


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hasrat Jaipuri



No comments:

Post a Comment