Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-O-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai<
Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Pyaar Par Bas To Nahi Hai Lekin Phir Bhi
Tu Bata De Ki Main Tujhe Pyaar Karoon Ya Na Karoon
+————–+
Nafraton ke jahan mein humko pyaar ki bastiyaan basaani hain
Door rehna koi kamaal nahi, paas aao to koi baat bane
Tumse Quwwat Lekar, Main Tumko Raah Dikhaaonga
Tum Parcham Lehrana Saathi, Main Barbat par Gaoonga.
Aaj se Mere Phan ka Maksad Zanjeere Pighlana Hai
Aaj se Main Shabnam ke Badle Angaare Barsaoonga.
Share with us more …Sahir ludhianvi shayari .in comments section below
No comments:
Post a Comment