Wednesday, August 8, 2012

Sang jab aaina dikhata hai – Umeed Fazli



Sang jab aaina dikhata hai
tesha kya kya nazar churata hai
silsila pyas ka batata hai
pyas dariya kahan bujhata hai
raig-zaron mein jaise tapati dhup
yun bhi us ka khayal aata hai
sun raha hun khiram-e-umr ke chap
aks aavaz banata jata hai
wo bhi kya shakhs hai ke pas aa kar
fasale dur tak bichata hai
ghar to aisa kahan tha lekin
dar-badar hain to yaad aata hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Umeed Fazli



No comments:

Post a Comment