Sara aalam gosh bar aavaz hai
aj kin hathon mein dil ka saz hai
han zara jurrat dikha ae jazb-e-dil
husn ko parde pe apne naz hai
kamnashin dil ke haqiqat kya kahun
soz mein duba hua ik saz hai
aap ke makhmur aankhon ke qasam
meri maikhvari abhi tak raz hai
hans diye wo mere rone par magar
un ke hans dene mein bhi ek raz hai
chup gaye wo saz-e-hasti ched kar
ab to bas aavaz hi aavaz hai
husn ko nahaq pasheman kar diya
ae junun ye bhi koi andaz hai
sari mahafil jis pe jhum utthi ‘majaz’
wo to aavaz-e-shikast-e-saz hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Majaz Lucknawi
No comments:
Post a Comment