Thursday, August 9, 2012

Hazar gham the meri zindagi akeli thi



hazar gham the meri zindagi akeli thi
khushi jahan ke mere vaste paheli thi
wo aj bach ke nikalate hain mere saye se
ki main ne jin ke liye gham ke dhup jheli thi
juda hui na kabhi mujh se gardish-e-dauran
meri hayat ke bachpan se ye saheli thi
chadha rahe hain wo hi aj aastin mujh par
ki jin ke pith pe kal tak meri hatheli thi
ab un ke qabr pe jalta nahi diya koi
ki jin ke dahar mein roshan bahut haveli thi
wo jhuk ke phir meri turbat pe kar rahe hain salam
isi ada ne to “mahir” ke jan le li thi


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mahir Ratlami



No comments:

Post a Comment