Mataa-E- Qalbo Jigar Hai, Hame Kaheen Se Mile
Magar Woh Zakhm Jo Us Daste Shabnamee Se Mile
Na Shaam Hai, Na Ghanee Raat Hai, Na Pichhla Paher
Ajeeb Rang Teree Chaashm Surmageen Se Mile
Main Us Wisaal Ke Lamhe Ka Naam Kiya Rakhoon
Tere Libaas Ki Shikne Teree Jabeen Se Mile
Shataae-Shain Mere Ahbaab Ki Nawaazish Hain
Magar Sile To Mujhe Apne Nukta Cheen Se Mile
Tamaam Umr Ki Naamo-Tabar Rifaaqat Se
Kaheen Bhala Ho Ke Pal Bhar Milain, Yaqeen Se Mile
Yahee Raha Hai, Muqaddar Mere Kisaano Ka
Ke Chaand Boei(N) Aur Unko Gahan Zameen Se Mile
Perween Shakir
No comments:
Post a Comment