Sau chand bhi chamakenge to kya baat banegi
tum aaye to is raat ke auqat banegi
un se yahi kah aaye ki hum ab na milenge
aakhir koi taqarib-e-mulaqat banegi
ye hum se na hoga ki kisi ek ko chahen
ae ishq! hamari na tere sath banegi
hairat kada-e-husn kahan hai abhi duniya
kuch aur nikhar le to tilismat banegi
ye kya ke badhate chalo badhate chalo aage
jab baith ke sochenge to kuch baat banegi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nissar Akhtar
No comments:
Post a Comment