Tuesday, September 25, 2007

Ik tum ke dil mein dard kisi gair ke liye – Azra Adil Rashid



Ik tum ke dil mein dard kisi gair ke liye
ik hum ke dard ban gaye khud aap ke liye
hum apne aashiyane mein tere muntazir
tum tinke chun rahe the kisi aur ke liye
hum janate hain dil mein tumhare nahi hain hum
jo khat tumhari aankhon mein the hum ne padh liye
gham hai ke tu ne lut liya aitamad ko
ik daag de diye hain hamen umr ke liye
qatil ke is ada pe bhi qurban jaye
khud de ke zeher aankhon mein aansu bhi bhar liye
thi kon si khata ke mili jis ke ye saza
hum ne to umr bhar tere nqash-e-qadam liye
“azra” ye mana bojh hai ab tujh pe zindagi
par zindagi to teri nahi hai tere liye


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Azra Adil Rashid



No comments:

Post a Comment