aziz itna hi rakho ke jee sanbhal jaye
ab is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaye
mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ke ruh garmi-e-anfas se pighal jaye
muhabbaton mein ajab hai dilon ko dhadaka sa
ke jane kon kahan rasta badal jaye
rahe wo dil jo tamanna-e-taza tar mein rahe
khusha wo umr jo khvabon hi mein bahal jaye
main wo charag-e-sar-e-rahaguzar-e-duniya hun
jo apani zat ke tanhaiyon mein jal jaye
har ek lahaja yahi aarazu yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein bhi dhal jaye
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Obaidullah Aleem
No comments:
Post a Comment