Friday, September 14, 2007

Din guzar gaya aitabar mein – Fana Nizami Kanpuri



Din guzar gaya aitabar mein
raat kat gai intazar mein
wo maza kahan vasl-e-yar mein
lutf jo mila intazar mein
un ke ik nazar kam kar gai
hosh ab kahan hoshiyar mein
mere kase mein kayenat hai
main hun aap ke ikhtiyar mein
aankh to uthi phul ke taraf
dil ulajh gaya husn-e-khar mein
tum se kya kahen kitne gham sahe
hum ne be-vafa tere pyar mein
fikr-e-ashiyan har khizam ke
aashiyan jala har bahar mein
kis tarah ye gham bhool jaye hum
wo juda hua is bahar mein


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Fana Nizami Kanpuri



No comments:

Post a Comment