Bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai
bhatake hue insan se kuch bhool hui hai
ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phoolon ke nigehban se kuch bhool hui hai
jis ahad mein lut jaye faqiron ke kamai
us ahad ke sultan se kuch bhool hui hai
hansate hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhool hui hai
huron ke talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhool hui hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sagar Siddiqui
No comments:
Post a Comment