Sach hain hamin ko aap ke shikave baja na the
beshak sitam janab ke sab dostana the
han jo jafa bhi aap ne ke qayede se ke
han hum hi karaband-e-usul-e-vafa na the
aaye to yun to ke jaise hamesha ke meharaban
bhule to yun ke goya kabhi aashana na the
kyon dad-e-gam hum ne talab ki, bura kiya
hum se jahan mein kushta-e-gam aur kya na the
gar fikr-e-zakhm ke to khatavar hain ke hum
kyon mahv-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the
har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamen jo dukh the bahut ladava na the
lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna “faiz”
hum talkhi-e-kalam par mail zara na the
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz
No comments:
Post a Comment