Wednesday, September 12, 2007

Jahan main jaun hawa ka yahi ishara ho – Makhmoor Saeedi



jahan main jaun hawa ka yahi ishara ho
koi nahi jo yahan muntazir tumhara ho
meri bujhati hui aankhon ko roshni bakhshe
wo phul jo tere chehare ka ista’ara ho
chala hun apni hi aavaz-e-bazgasht pe yun
kisi ne dur se jaise mujhe pukara ho
ganva chuke kai umren ummidvar tere
kahan tak aur teri berukhi gavara ho
tu pas aate huye mujh se dur ho jaye
ajab nahi ki yahi hadasa dobara ho
nazar farebi-e-rang-e-chaman se bach ‘makhmoor’
jise tu phul samajh le kaheen sharara ho



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Makhmoor Saeedi




No comments:

Post a Comment