Friday, September 14, 2007

Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain - Love Romantic Ghazal

rsz_1love_mohabbat_poetry

Urdu Poetry - Ghazal

Is Liye Sar Jhukaye Bethe Hain
Dil Mein Dil-Dar Aaye Bethe Hain…

Haath Par Un Ke Titli Beth Gai
Gul Sabhi Khaar Khaye Bethe Hain…
Titli = butterfly; Gul = Flower; Khaar = Thistle
Dast-E-Nazuk Pe Titli Ne Socha
Gul, Hina Kion Lagaye Bethe Hain…
Dast = Hand
Rang Ura Le Gaye We Titli Ka,
Gul Ki Khushbu Churaye Bethe Hain

Shaibah Tak Nahi Shararat Ka,
Kesi Soorat Banaye Bethe Hain…

Is Se Barh Kar Bhi Koi Hai Nazuk?
Roshni Se Nahaye Bethe Hain…

Is Liye Paon Mein Dabata Hun
Wo Mera Dil Dabaye Bethe Hain

Aik But Ka Sawal Hai Mola
Man Ka Mandir Sajaye Bethe Hain
But = idol; Mandir = Temple
Is Liye Mutmaeen Hain Koh-E-Giran
Ham Imanat Uthaye Bethe Hain…
Mutmaeen = Satisfied; Imanat = Trust
Dosra Moqa ‘Qais’ Kese Mile?
Aik Dil Tha Ganwaye Bethe Hain…
Moqa = Chance; Ganwaye = Lost

No comments:

Post a Comment