Monday, September 10, 2007

Jab meri yaad sataye to mujhe khat likhana – Zafar Gorakhpuri



jab meri yaad sataye to mujhe khat likhana
tum ko jab neend na aaye to mujhe khat likhana
nile pedon ke ghani chanv mein hansata savan
pyasi dharti mein samane ko tarasata savan
raat bhar chat pe lagatar barasata savan
dil mein jab aag lagaye to mujhe khat likhana
jab phadak uthe kisi shakh pe patta koi
gudgudaye tumhen bita hua lamha koi
jab meri yaad ka bechain safina koi
jee ko rah rah ke jalaye to mujhe khat likhana
jab nigahon ke liye koi nazara na rahe
chand chip jaye gagan par koi sahara na rahe
log ho jayen paraye to mujhe khat likhana
log ho jayen paraye to mujhe khat likhana



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Zafar Gorakhpuri




No comments:

Post a Comment