Tuesday, September 11, 2007

Gulazar-e-hast-o-bu na beganavar dekh



gulazar-e-hast-o-bu na beganavar dekh
hai dekhane ke cheez ise bar bar dekh
aaya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh
mana ke teri did ke qabil nahi hun main
tu mera shauq dekh mera intazar dekh
kholi hain zauq-e-did ne aankhen teri to phir
har rahaguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh


Poet of the poem/ghazal or Nazam: Allama Iqbal



No comments:

Post a Comment