Wednesday, September 12, 2007

Dil gaya tum ne liya hum kya karen – DaaG Dehlvi



Dil gaya tum ne liya hum kya karen
janevali cheez ka gham kya karen
pure honge apne arman kis tarah
shauq behad waqt hai kam kya karen
baksh den pyar ke gustakhiyan
dil hi qabu mein nahin, hum kya karen
tund khu hai kab sune wo dil ke bat
aur bhi baraham ko baraham kya karen
ek sagar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karen
kar chuke sab apani-apani hikamaten
dam nikalata hai ae mere hamadam kya karen
dil ne sikha sheva-e-beganagi
aise namuharim ko muharim kya karen
mamala hai aj husn-o-ishq ka
dekhiye wo kya karen hum kya karen
kah rahe hain ahal-e-sifarish mujhase “dag”
teri qismat hai buri hum kya karen



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : DaaG Dehlvi



No comments:

Post a Comment