Kahate ho na denge hum dil agar pada paya
dil kahan ki gum kije hum ne muddaa paya
ishq se tabiat ne zist ka maza paya
dard ke dawa pai dard-e-bedava paya
dostadar-e-dushman hai etimad-e-dil malum
aah beasar dekhi nala narasa paya
sadagi-o-purkari bekhudi-o-hoshiyari
husn ko tagaful mein juraat aazama paya
guncha phir laga khilane aj hum ne apna dil
khoon kiya hua dekha gum kiya hua paya
hal-e-dil nahi malum lekin is qadar yani
hum ne barha dhundha tum ne barha paya
shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chidaka
aap se koi puche tum ne kya maza paya
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment