Monday, July 16, 2007

Phir kahoge tum muqabil ko saza ke vaste – Qamar Jalalwi



Phir kahoge tum muqabil ko saza ke vaste
aaine ko hath se rakh do khuda ke vaste
kaba-e-dil ko na takotum jafa ke vaste
ae buto ye ghar khuda ka hai khuda ke vaste
ya ilahi kis taraf se pas hai bab-e-asar
kon sa nazadik hai rasta dua ke vaste
kah gaye kya dekh kar nabzon ko kya jane tabib
hath uthaye hain azizon ne dua ke vaste
tum bhi nam-e-khuda ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasman se mashvara kar lo jafa ke vaste
mujh ko us matti se khaliq ne banaya hai “qamar”
reh gain thi jo azal ke din wafa ke vaste


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Qamar Jalalwi



No comments:

Post a Comment