Chalo Us Sheher Jatay Hain. . !
Chalo Taqdeer Ko Phir Aazmatay Hain
Chalo Hum Rait Se Peero’n K Ja Kar Naqsh Chuntay Hain
Hawao’n Per Likhi Sargoshi’on Ko Aaj Sunty Hain
Chalo Palko’n Se, Neelay Aur Sunehray Reshmi Se Khuwab Bunty Hain
Hatheli Per Kisi Ne Likh Diya Tah Lams Honto’n Ka
Aur Aankhon K Dareecho’n Mein Adhoora Khuwab Rakha Tha
Sama’at An-Chooi Si Aahato’n Ki Zadd Mein Hai Shayad
Jabhi To Dharkanain Chup Hain, Jabhi To Sa’atain Chup Hain
Chalo Us Sheher Jatay Hain
Jahan Per Wasl Ko Zanjeer Se Bandha Nahi Jata
Jahan Tadbeer Ko Tadeer Se Bandha Nahi Jata
Ma’ni Ko Jahan Tehreer Se Bandha Nahi Jata
Jahan Dil Ko Kisi Jageer Se Bandha Nahi Jata
Jahan Per Chaand, Taaro’n Se Mazayyan Raat Hoti Hai
Jahan Per Chahato’n Ki Har Taraf Barsaat Hoti Hai
Muhabbat Ki Jahan Per Jeet Hoti Hai
Jahan Per Dil K Saray Dushmano’n Ko Maat Hoti Hai
Chalo Us Sheher Jatay Hain. . !
Wednesday, July 18, 2007
Punjab 4 Fighting
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment