Thursday, July 26, 2007

Pagal shayari



Piyaar Key Deep Jalaney  waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein
Apni Jaan Sey Janey Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Hijar Key Gehrey Zakham Miley
To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhaaney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein


Jaan Sey Piyarey Loogon Sey Bhi
Kuch Kuch Perda Lazim Hey
Sari Baat Bataney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Khawbon Main Bhi Anmol Milan
Key Sapney Dekhtey Rehtey Hein
Neendon Main Muskraney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Iss Jhooti Nagri Main Hum Ney
Yehi Hamesha Deikha Hey
Sachi Baat Bataney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Piyaar Jinhein Ho Jaye Un Ko
Chain Bhala Kab Mill Pata Hai
Shab Bhar Ashk Bahaney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.


Apni Zaat Key Ujrey Gulshan Sey
Wo Piyaar Kahan Kertey Hein
Auroon Ko Mehkaney Waley
Kuch Kuch Pagal Hotey Hein !!



Bahar se nafrat thi,
Par dil me wo mere basta tha !
Wo pagal sa ek ladka,
Jo dekh ke mujhko hanstatha !!
Kyun thukraya ? mang ko uski,
Soch ke ab pachhtati hu !
Dil ke badle dil manga tha,
sauda kitna sasta tha !!
Kisse puchhu ? kaise puchhu ?
Kyun nahi deta ab dikhayi!
Roz guzarta tha wo idhar se,
Uska yahi rasta tha !!
Dard chhupa kar jeena uski,
bahut purani adat thi !
Bheetar-bheetar rota tha wo,
bahar-bahar hansta tha !!



Dharti so rahi hai,
Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,
Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai


Share with us more .Pagal shayari .in comments section below



No comments:

Post a Comment