Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,
Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,
Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,
Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,
Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,
Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..
Kya pata tha mujhe ki wo is tarah bhula degi,
Apna bana ke, phir paraya bana degi,
Wo aayi zindagi main, ek hasin lamha de gayi,
Mere ruthe hue labon pe hasi de gayi.
Aaja tu wapas zindagi main meri,
Ke maut bhi salli mujhe dhoka de gayi…
Dil diya aitbar ki had thi
Jaan de di yeh mere pyar ki had thi
Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi
Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi
Share with us more Dhoka shayari .in comments section below.
No comments:
Post a Comment