Pyar ek maa ka kurbani hai
Jo hakikat mei daya ki rani hai
Pyar uska khatm nhi hota
Zindagi chahei khatm ho jay
Maa ki mamta kbhi nhi marti
Zindagi chaheip moot pajaye
Maa kbhi bhi khta nhi karty
Tum chahe kit ni khtay kardalo
Apne bachcho ko ak maa he jo
Zindagi bhar duway dety hai
Maa ki mamta mile jhan me jise
Wo bade khush nasib hote hai
Jin ki kismat me maa nahi hoti
Wo bade bad nasib hote hai
Sari khushya jhan ki mil kar
Phir bhi wo gam gin hote hai
Un se ulfar karo jahan walo
Wo hi to dar asl me yatim hote hai!!!
Seeny se laga ke kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya
Maa Sath ha to saya-e -Qudrat bi sath ha
Maa k beghair lagy din b raat ha
.
Mein dur jaon to uksa mery sar pe hath ha
Mery liye to meri Maa hi kaynat ha
.
Daaman mein Maa k sirf wafaon k phool hein
Hum sarey apni Maa k Qadmoon k dhool hein
.
Aulaad k Sitam usey Hass k Qabool hein
Bachon ko Bakash deina hi Maa k Usool hein
.
Din Raat Us ne Paal Pos k bada kiya
Girney laga to Maa nemuje phir khara kiya
No comments:
Post a Comment