Samandar Me Utarta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Teri Ankhon Ko Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Tumhara Nam Parhne Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Me Huns Kar Jhail Leta Hun Judai Ki Sabhi Rasmen
Galy Jab Us K Lagta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Na-Jany Ho Gaya Hun Is Qadar Hassas Me Kab Se
Kisi Se Bat Karta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Wo Sab Guzry Hue Lamhaat Mujh Ko Yad Ate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Me Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Magr Junhi
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Har Aik Muflis K Mathy Par Alam Ki Dastany Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Bary Logon K Oonchy, Bad-Numa Or Sard Mehlon Ko
Gareeb Ankhon Se Takta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Tere Koochy Se Ab Mera Ta'aluq Wajabi Sa Hai
Magr Jab Bhi Guzrta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain
Hazar Mosamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe WASI
Me Jab Bhi Hansta Hun To Ankhain Bheeg Jati Hain...
No comments:
Post a Comment