Bhigi hui aankhon ka ye manzar na milega
ghar chod ke mat jao kaheen ghar na milega
phir yaad bahur aayegi zulfon ke ghani sham
jab dhup mein saya koi sar par na milega
aansu ko kabhi os ka qatara na samajhana
aisa tumhen chahat ka samundar na milega
is khwab ke mahaul mein be-khvab hain aankhen
bazar mein aisa koi zevar na milega
ye soch lo ab aakhiri saya hai muhabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
No comments:
Post a Comment