Karb chehare se mah-o-sal ka dhoya jaye
aj fursat se kaheen baith ke roya jaye
phir kissi nazm ke tamid uthai jaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaye
kuch to ho raat ke sarhad mein utarane ke saza
garm suraj ko samundar mein duboya jaye
itni jaldi to badalate nahi honge chehare
gardalud hain aaine ko dhoya jaye
maut se khaufzada jine se bezar hain log
is almiya pe hansa jaye ki royajaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shahid Kabir
No comments:
Post a Comment