gair lain mahafil mein bose jam ki
hum rahen yun tashnalab paigam ki
khastagi ka tum se kya shikwa ki ye
hathakande hain charkh-e-nili fam ki
khat likhenge garche matalab kuch na ho
hum to aashiq hain tumhare naam ki
raat pi zam-zam pe may aur subh-dam
dhoe dhabbe jama-e-eharam ki
dil ko aankhon ne phansaya kya magar
ye bhi halqe hain tumhare dam ki
shah ki hai gusl-e-sehat ki khabar
dekhiye din kab phiren hammam ki
ishq ne ‘ghalib’ nikamma kar diya
varna hum bhi aadmi the kam ki
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment