aankhon mein jee mera hai idhar yar dekhana
aashiq ka apne aakhari didar dekhana
kaisa chaman ke hum se asiron ko mana hai
chak-e-qafas se bag ke divar dekhana
aankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhana
ae ham-safar na aable ko pahunche chashm-e-tar
laga hai mere paon mein aa khar dekhana
hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
hoshiyar zinhar khabardar dekhana
sayyad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib ye gulazar dekhana
gar zamzama yahi hai koi din to ham-safir
is fasl hi mein hum ko giriftar dekhana
bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
ho jayega gale ka kaheen har dekhana
shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
girbal kar ke kucha-e-dildar dekhana
us khush-nigah ke ishq se parahez kijio ‘meer’
jata hai leke jee hi ye aazar dekhana
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Meer Taqi Meer
No comments:
Post a Comment