Sunday, July 8, 2007

Kabhi kabhi yun bhi hum ne apne hi ko bahalaya hai – Nida Fazli



Kabhi kabhi yun bhi hum ne apne hi ko bahalaya hai
jin baton ko khud nahi samajhe auron ko samajhaya hai
hum se pucho izzat valon ke izzat ka hal kabhi
hum ne bhi is shahar mein reh kar thoda naam kamaya hai
usase bichde barason bite lekin aj na jane kyon
aangan mein haste bachon ko bekaran dhamakaya hai
koi mila to hath milaya kaheen gae to baten ke
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bhoj uthaya hai


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nida Fazli



No comments:

Post a Comment