Monday, July 9, 2007

Ashar mere yun to zamane ki liye hain – Jan Nissar Akhtar



ashar mere yun to zamane ki liye hain
kuch sher faqat unko sunane ki liye hain
ab ye bhi nahi thik ki har dard mita den
kuch dard kaleje se lagane ki liye hain
aankhon mein jo bhar loge to kanton se chubhenge
ye khwab to palkon pe sajane ki liye hain
dekhun tere hathon ko to lagata hai tere hath
mandir mein faqat dip jalne ki liye hain
socho to badi cheez hai tahazib badan ki
varana to badan aag bujhane ki liye hain
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ik shakhs ki yadon ko bhulane ki liye hain


 
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Jan Nissar Akhtar



No comments:

Post a Comment