Tuesday, November 21, 2006

Ye nikhaton ke narm ravi ye hawa ye raat – Firaq Gorakhpuri



Ye nikhaton ke narm ravi ye hawa ye raat
yaad aa rahe hain ishq ke tute ta’alluqat
mayusiyon ke god mein dam todata hai ishq
ab bhi koi bana le to bigadi nahi hai baat
ik umr kat gai hai tere intazar mein
aise bhi hain ke kat na saki jin se ek raat
hum ahal-e-intazar ke aahat pe kan the
thandi hawa thi gham tha tera dhal chali thi raat
har sai-o-har amal mein muhabbat ka hath hai
tamir-e-zindagi ke samajh kuch muharakat
ahal-e-raza mein shan-e-bagavat bhi ho zara
itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat
uth bandagi se malik-e-taqadir ban ke dekh
kya vasvasa azab ka kya kavish-e-nijat
mujh ko to gham ne fursat-e-gam bhi na di “firaq”
de fursat-e-hayat na jaise gam-e-hayat



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Firaq Gorakhpuri



No comments:

Post a Comment