Monday, November 13, 2006

Dil ko lagti hai dilruba ke ada – Wali Mohammed Wali



Dil ko lagti hai dilruba ke ada
jee mein basti hai khush ada ke ada
garche sab khubru hain khub wale
qatl karati hai miraza ke ada
(a beauty’s looks are always fair, still
the beauty of my love has the power to kill)
harf-e-beja baja hai gar bolun
dushman-e-hosh hai piya ke ada
(my reason loses track of where and whence
for my beloved’s beauty stuns my sense)
naqsh-e-divar q na ho aashiq
hairat-afaza hai bevafa ke ada
gul huye gark-e-ab-e-shabanam mein
dekh us sahib-e-haya ke ada
ae “wali” dard-e-sar ke daru hai
mujhko us sandali qaba ke ada



Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Wali Mohammed Wali



No comments:

Post a Comment