Phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyonkar
ye bala ghar se nikali hui aayi kyonkar
tu ne ke gair se meri burai kyonkar
gar na thi dil mein to lab par tere aayi kyonkar
tum dilazar-o-sitamgar nahi main ne mana
man jayegi ise sari khudai kyonkar
aaina dekh ke wo kahane lage aap hi aap
aise achon ke kare koi burai kyonkar
kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzam mila
itane se dil mein hai itanon ke samai kyonkar
daag kal tak to dua aap ke maqabul na thi
aj muh mangi murad aap ne pai kyonkar
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Daag Dehlvi
No comments:
Post a Comment