aa ki meri jan mai qarar nahi hai
aa ki meri jan mai qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai
dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nashsha baandaza-e-khumar nahi hai
giriya nikale hai teri bazm se mujh ko
haye! ki rone pe ikhtiyar nahi hai
hum se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mai ushshaq ke gubar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalva hai maani
gair-e-gul aaina-e-bahar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad to bare
vaye! agar ahad ustavar nahi hai
tu ne qasam maikashi ke khai hai ‘ghalib’
teri qasam ka kuch aitabar nahi hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment