Saturday, November 18, 2006

Khwaabon Ki Dekh-Bhaal Men



Khwaabon Ki Dekh-Bhaal Men Aankhen Ujar Gayii
Tanhaa`Iiyon Ki Dhuup Ne Chehraa Jalaa Diyaa


Lafzon Ke Jorne Men Ibaadat Bikhar Chalii
Aa`Iine Dhuundne Men Ka`Ii Aks Kho Gaye
Aaye Na Phir Wo Laut Ke Ik Baar Jo Gaye

Wo Din, Wo Waqt,Rut Wo, Wo Mausam Wo Sar Khushii
Ai Gardish-E-Hayaat, Ay Raftaar-E-Maah-O-Saal!
Kyaa Jamm`A Is Zameen Pe Hogay Na Phir Kabhii?
Jo Hamsafar Firaaq Ki Dal-Dal Men Kho Gaye
Patte Jo Gir Ke Per Se, Raston Men Kho Gaye


Kyaa Phir Kabhi Na Laut Ke Aayegi Wo Bahaar
Kyaa Phir Kabhi Na Aankh Men Utaregi Wo Dhanak
Jis Ke Vafoor-E-Rang Se
Jhalkii Hu`Ii Hawaa.. Kartii Hai Aaj Tak
Ik Zulf Men Sajay Huve Phulon Kaa Intezaar!


Lamhe Zameen-E-Hijr Ke Phailay Kuchh Iss Tarah
Reg-E-Ravaan-E-Dasht Ki (Tamsheel ?Tamsheed?) Ho Gayii


Iss Dasht Par Saraab Men Bhatke Hain Iss Qadar
Naqsh-E-Qadam Thay Jitne Bhi, Paa-Maal Ho Gaye
Ab Tau Kahiin Pe Khatm Ho Rastaa Gumaan Kaa
Sheeshe Men Dil Ke Saare Yaqeen Baal Ho Gaye


Jis Waaqiye Ne Aankh Se Cheenii Thi Meri Neend
Uss Waaqiye Ko Ab Tau… Ka`Ii Saal Ho Gaye !!



No comments:

Post a Comment